Wednesday, 17 August 2011

Incredible India......


India me aapka swagat hai.....
Main Gate pe entry leneke liye sabse pehle zor se boliye "Jai Hind"
Aab hum dheere dheere badhenge main gate se...
Aapke samne hai the beautiful lawn....
Dekhiye ye jo pehla statue aap dekh rhe hai inka naam hai Mr. Prime Minister. ye hamare is empire ke so called Raja hai...inke paas khub power hai, but inko ise use karna nhi aata hai, magar inho ne bohot sare field me PHD kiya hai jaise Ghotala, Rate Explosion, garibon ka khoon choosna etc etc…
Aage dekhiye ye jitne bhi statues aap ko dikh rhe hai inme se kuch to hamare so called Raja ke pyare pyade hai aur kuch ye dawwa rakhnewalo me se hai ki "Agar hum Raja hote to dikha deten ki Raja ka neeti kya hoti yai" matlab "Rajneeti"....But-but ye jo special statue aap sab ko dikh raha hai inki baat kuch khass hai, kyun ki inke haath to Mr. Rajaji ke door bandhe hue hai..Jab bhi Raja ji inse milte hai to ek hi gaana gate hai......"Mai naachun tu nachaaa..."

Aab inse milne ke baad hum badhte hai building ke taraf.....
Ooh sorry inko to as usual bhool hi gya..
Ye belong karte hai India ke the most famous Slum Family se. Inke baare me to aap sabne bohot kuch suna hoga but mai v kuch sunana cahunga.....
Hum hamesha ye mang rakhte hai ki "Garibi Hatao", magar ye kabhi success nhi hota hai, kyuki agar ye log poverty line se aage nikal gaye to hamara kya hoga...?
Hamare ghar me jharu-pocha kaun karega, kapde kaun dhoyega, aur sabse badi baat - Agar garibi mit jaye to logon ko mauka kaha milega ek dusre par blame deneka. So behtar yehi hoga ki inko inki jagha par marne do, inka to kuch hoga nhi bekar ka pareshani lekar kya faida.....hum aage badhte hai.....

Ye jo deewaron pe posters dekk rahe hai inme shamil hai hamare India ke big big personalities jinke naam ke aage peeche - Superstars, Business Tycoon jaise words ghumte rehte hai...
jab ye koi nayi Car ya fir exclusive costly Dresses kharidte hai apni status-personality ko maintain rakhne ke liye to hume pata nahi chalta hai, lekin jaise hi ye koi trust ya NGO me jate hai donation dene ke liye jo ki inke car ya dress ke kimat ka 1/4th hai  to media walo ko zaroor invite karte hai taki sabko pata to chale ke ye kithe mahan hai......

Ye sab to tha 1st level ke rakhwale aab thora 2nd level walon se bhi milte hai....

Dekhiye ye jo  yaha baithe hai inka indivisually to alag alag naam hai but inko ek sath milakar hum kehte hai- "Silent Wariors of India". aab aapto bolenge ki inka zuban to khula hua hai fir ye silent kaise hai..?
Mai samjhata hun - waise India me to aaj kal kaafi developed guns and war machines hai but inko wo sab allowed nhi hai. Hamare Mr. Raja ka kehna hai -- " Hum aapko arms ya fir violence ka permission nhi denge, unsab chizon ke liye to humhi kaffi hai.. aap agar chaho to khali haath aao, hum aap pe Lathi-charge, Aansu Gas etc etc praoyog karenge, agar seh sakte ho to thik hai warna rehne do...."
Isliye Hum inko "Silent Wariors" kehte hai. ye chahte ki India ko ek Better, Corruption-Free  state banana but kya faida....

Aab milte hai  hamare  India ke building blocks matlab aam Public se……..
Inki ek bohot bari beemari hai khush rehne ki. Ye System se pareshan, Mehngai se pareshan, Family se, apne kaam se pareshan..... fir bhi Govt. se khush. Inki to baat hi kuch nirali hai....
Salry milti hai 6000/- aur monthly expenses hai 7000/- . Khud hi TV ke samne baith ke bolte hai---"India ki Corruption Free Karna cahiye" aur agle hi din office me bolten hai ki--"Bhaisahab kaam jaldi karwana hai to fir kuch dena parega, waise na den to bhi chale ga bus Sarkari Kaam hai na Time thora zyada lag jata hai" ----- socho karein bhi to kya  kharchen hi itne hai..............

Lijiye inse miliye- Ye hai Hamare India ke Future......

Class me education kam aur Gadgets pe dhyan zyada hota hai....
Agar apni pehchan banana hai to 2-3 Social Networking Sites pe Profile banalo aur ho gaye famous....
Kehte hai- "Papa Higher Studies ke liye abroad jana hai, India se bahar na to India me hi kahi aur "
Papa sochte hai competition ka zamana hai, better education to cahiye hi, so  bhej deten hai...
Lijiye dekhiye better education mile ya na mile better environment to mil gaya...Clubs, Party, Malls and Bindas Bachelor life....
Papa ka income hai 10000/- aur janab ko pocket money chahiye 4000-5000/- . Baki family me jo 3-4  members aur bhi hai wo thora kam khalenge to kya mar jayenge....akhir hume bhi to Doctor- Engineer banna hai , fir love marriage karke alag settel hona hai..........

Aab sabse last me mu-jhukaye jo baithe hai inka naam hai Loosers…..
Nhi nhi ghabrana nhi inhone tarakki to bohot ki hai zindegi me, magar inke paas sahi platform nhi hai usko dikhane ke liye. Kisiko High School me marks mile hai 80-90%, magar degree nhi hai, kisike paas degree hai magar job dhang ka nhi mil rha hai aur kisike paas to job bhi hai magar Boss ke lecture sun sun ke life se hi frustrated ho gaye hai, to bangaye na “Looser”.
Reasons bhi to kafi strong hai –
Marks acche hai to better admission ke liye corruption. Corruption na den to degree to mil jayegi but better college/university se nhi milegi. Aab better degree nhi to accha Job kaun dega…….

Yaha khatam hota hai hamare pyere India ka ek chota sa tour..
Aagar aap dekhna chahe to aur bhi bohot sare khoobsoorat places hai jaise- Delhi, Mumbai, Kashmir, Darjeeling, Kanyakumari, etc etc... but mujhe jitna paisa mila usme inta hi dekhne ko milega.......
Thank you very much for spending such a great time with me in India...hope ki aap sabko ye tour accha laga..
Agar interest aaya to plse apne frnds and relatives ko bhi invite kijiye.
kyun ki hamara nara hai
"Atithi Debo Bhawa"
Have a nice time..
Good bye........
Jai Hind






No comments:

Post a Comment